CSS Selectors in Hindi: 2025 Beginners Ke Liye Complete Guide

Namaskar dosto!
Agar aap CSS selectors in Hindi seekhna chahte ho, toh yeh article aapke liye perfect hai. CSS styling start karne se pehle selectors ka concept samajhna sabse zaruri hota hai.

CSS selectors ki madad se aap decide karte ho ki kis HTML element par style apply hoga — chahe wo ek
tag ho, ek class ho ya koi unique ID.

Yeh guide specially 2025 ke beginners ke liye likhi gayi hai, jisme har selector ko real-life examples ke saath explain kiya gaya hai.

CSS Selectors Kitne Types Ke Hote Hai?

CSS selectors in Hindi mein multiple types hote hain, lekin 4 main selectors har beginner ko aane chahiye:

1. Universal Selector (*)

Yeh selector sabhi HTML elements par styling apply karta hai.

color: red;

Use Kab Karein?
Jab aapko puri website ke sabhi elements (heading, paragraph, button) par ek jaise style lagane ho.

2. Type Selector (Element Selector)

Yeh selector kisi specific HTML tag par styling lagata hai.

p {
color: green;
font-size: 18px;

Use Kab Karein?
Jab aapko sirf kisi specific tag ka look change karna ho — jaise sabhi
elements ka color.

3. Class Selector (.)

Yeh selector multiple elements par ek jaisa style apply karta hai.

.highlight {
background-color: yellow;
color: blue;

Welcome

This is highlighted paragraph.

Use Kab Karein?
Jab aapko ek hi style ko multiple elements par lagana ho.

Aur Detail Mein Padhein: W3Schools Class Selector

4. ID Selector (#)

Yeh selector ek unique element ke liye hota hai.

#mainHeading {
color: orange;
text-align: center;

Welcome to My Blog

Use Kab Karein?
Jab aap kisi ek specific element par alag style lagana chahte ho.

Real-Life Mini Website Example

index.html File

Welcome to My Blog

CSS Seekhna hai easy!

style.css File

.title {
color: green;
font-weight: bold;
font-family: Arial, sans-serif;
text-align: center;

#intro {
font-size: 18px;
color: #333;
text-align: center;
margin-top: 10px;

Output

css output image

Common Mistakes Jo Beginners Karte Hai

• ID aur Class ko confuse karna. (ID unique hoti hai, Class multiple elements ke liye)
• div p aur div, p ka meaning confuse karna.
• Zyada general selectors ka use karna jo specific styles ko override kar dete hain.

Tips for Writing Clean CSS

• Har selector ka sahi use samjho.
• Comments ka use karo for readability.
• Reusable classes banao taaki code maintainable rahe.

Further Reading: CSS Best Practices for Beginners – GeeksForGeeks

CSS Selectors Master Karne Ka Best Tareeka

• Har selector ka practical example browser mein try karo.
• Practice jitni zyada, clarity utni strong.
• Specificity aur pseudo-classes jaise :hover, :focus bhi seekho.

Advance Seekhna Hai? CSS Selectors Cheat Sheet

FAQs

Q1: CSS selectors kya hota hai simple language mein?
CSS selectors wo commands hain jo HTML ke specific element par CSS rules lagate hain.

Q2: ID aur Class selector mein kya fark hai?
ID ek hi element par lagti hai, Class multiple elements par.

Q3: Universal selector kab use hota hai?
Jab sabhi elements par ek jaisa base style lagana ho.

Q4: CSS selectors ki best practices kya hai?
Reusable classes, comments, aur specificity ko dhyan mein rakhna.

Q5: CSS practice kaise karein?
Mini projects, CodePen, ya browser DevTools ka use karke try karo.

Next Padhein:

CSS Kya Hai? (2025 Beginner Guide) – Web Page Ko Stylish Banane Ka Aasaan Tarika

Dosto Agar aapko yeh article helpful laga ho to ise share karein, comment karein, aur apne doston ko bhi recommend karein.
Next article kis topic par chahiye? Comment karke zarur batao.

Written by: Aditya (Programming Sikho)

Spread the love

Leave a Comment